Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

idhar karata hai waiz zikr ghaugha-e-qiyamat ka

Nashtar Jayasi

idhar karata hai waiz zikr ghaugha-e-qiyamat ka

Nashtar Jayasi

MORE BYNashtar Jayasi

    idhar karatā hai vaa.iz zikr ġhauġhā-e-qiyāmat

    udhar ham fitna-e-nāz-e-butāñ ko yaad karte haiñ

    pas-e-tark-e-ta.alluq bhī ta.alluq kam nahīñ hotā

    ham un vo hamārī dāstāñ ko yaad karte haiñ

    navāzish hai karam hai hazrat-e-'afqar' ai 'nashtar'

    jo vo mujh shā.ir-e-be-ḳhānumāñ ko yaad karte haiñ

    idhar karata hai waiz zikr ghaugha-e-qiyamat ka

    udhar hum fitna-e-naz-e-butan ko yaad karte hain

    pas-e-tark-e-talluq bhi talluq kam nahin hota

    hum un ki wo hamari dastan ko yaad karte hain

    nawazish hai karam hai hazrat-e-'afqar' ka ai 'nashtar'

    jo wo mujh shair-e-be-KHanuman ko yaad karte hain

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 303)
    • Author : Irfan Abbasi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now