qubūl thā ki falak mujh pe sau jafā kartā
qubūl thā ki falak mujh pe sau jafā kartā
par ek ye ki na tujh se mujhe judā kartā
karūñ huuñ shaad dil apnā tire tasavvur se
agar ye shaġhl na hotā to kyā kiyā kartā
safed saf.ha-e-kāġhaz kahīñ na phir rahtā
agar maiñ jaur-o-jafā ko tirī likhā kartā
hinā kī tarah agar dastaras mujhe hotī
to kis ḳhushī se tire paañv meñ lagā kartā
ġham-e-firāq gar aisā maiñ jāntā 'bedār'
to apne dil ko kisī se na āshnā kartā
qubūl thā ki falak mujh pe sau jafā kartā
par ek ye ki na tujh se mujhe judā kartā
karūñ huñ shad dil apnā tere tasawwur se
agar ye shaġhl na hotā to kyā kiyā kartā
safed safha-e-kāġhaz kahīñ na phir rahtā
agar maiñ jaur-o-jafā ko tirī likhā kartā
hinā kī tarah agar dastaras mujhe hotī
to kis ḳhushī se tere pañw meñ lagā kartā
ġham-e-firāq gar aisā maiñ jāntā 'bedār'
to apne dil ko kisī se na āshnā kartā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.