rabt hai nāz-e-butāñ ko to mirī jaan ke sath
rabt hai nāz-e-butāñ ko to mirī jaan ke saath
jī hai vābasta mirā un kī har ik aan ke saath
apne hāthoñ ke bhī maiñ zor kā dīvāna huuñ
raat din kushtī hī rahtī hai garebān ke saath
jo jafā-jū haiñ unheñ sañg-dilī lāzim hai
kaam talvār ko rahtā hai sadā saan ke saath
gar masīhā-nafasī hai yahī mutrib to ḳhair
jī hī jaate haiñ chale terī har ik taan ke saath
'dard' har-chand maiñ zāhir meñ to huuñ mor-e-za.īf
zor nisbat hai vale mujh ko 'sulemān' ke saath
rabt hai nāz-e-butāñ ko to mirī jaan ke sath
jī hai wābasta mirā un kī har ek aan ke sath
apne hāthoñ ke bhī maiñ zor kā dīwāna huñ
raat din kushtī hī rahtī hai garebān ke sath
jo jafā-jū haiñ unheñ sañg-dilī lāzim hai
kaam talwār ko rahtā hai sadā san ke sath
gar masīhā-nafasī hai yahī mutrib to ḳhair
jī hī jate haiñ chale terī har ek tan ke sath
'dard' har-chand maiñ zāhir meñ to huñ mor-e-zaīf
zor nisbat hai wale mujh ko 'sulemān' ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.