kya lutf ho hum pyar karen yar KHafa ho
kyā lutf ho ham pyaar kareñ yaar ḳhafā ho
har baat meñ lazzat hai agar dil meñ mazā ho
tum chāhne ke naam se kyuuñ itnā ḳhafā ho
ye koī burī baat hai lo tum hameñ chāho
ai ḳhizr hayāt-e-abadī meñ nahīñ kuchh lutf
gar marg na ho ziist meñ phir ḳhaak mazā ho
betābī meñ dushman se davā pūchh rahā huuñ
allāh kare dard-e-mohabbat kā burā ho
is dushman-e-jāñ se kiyā iz.hār-e-mohabbat
ai dil ye kuchh achchhā na kiyā terā burā ho
kya lutf ho hum pyar karen yar KHafa ho
har baat mein lazzat hai agar dil mein maza ho
tum chahne ke nam se kyun itna KHafa ho
ye koi buri baat hai lo tum hamein chaho
ai KHizr hayat-e-abadi mein nahin kuchh lutf
gar marg na ho zist mein phir KHak maza ho
betabi mein dushman se dawa puchh raha hun
allah kare dard-e-mohabbat ka bura ho
is dushman-e-jaan se kiya izhaar-e-mohabbat
ai dil ye kuchh achchha na kiya tera bura ho
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 208)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.