rah-e-haram ke liye kucha-e-butan ke liye
rah-e-haram ke liye kūcha-e-butāñ ke liye
na ḳhaak uḌāte phire ham kahāñ kahāñ ke liye
miTāyā ham ne nishāñ apnā be nishāñ ke liye
makāñ phūñk diyā apnā lā-makāñ ke liye
jab apne khone se miltī hai manzil-e-maqsūd
nishān-e-rāh kahāñ mere kārvāñ ke liye
tarīq-e-ishq meñ rahbar hai apnī ḳhāmoshī
jaras kā kaam nahīñ mere kārvāñ ke liye
rah-e-haram ke liye kucha-e-butan ke liye
na KHak uDate phire hum kahan kahan ke liye
miTaya hum ne nishan apna be nishan ke liye
makan phunk diya apna la-makan ke liye
jab apne khone se milti hai manzil-e-maqsud
nishan-e-rah kahan mere karwan ke liye
tariq-e-ishq mein rahbar hai apni KHamoshi
jaras ka kaam nahin mere karwan ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.