dil-e-nadan ko kis ki justuju hai
dil-e-nādāñ ko kis kī justujū hai
jo phirtā raat din ye kū-ba-kū hai
ilāhī bhej de koī muhāfiz
paḌī ḳhatre meñ merī aabrū hai
namāz-e-vasl ko hai muztarib dil
abhī tak aañkh merī bā-vazū hai
phire āñkhoñ meñ hardam un kā chehra
yahī bīmār-e-dil kī aarzū hai
mohabbat kī ye manzil kaun sī hai
jidhar dekhūñ udhar bas tuuhī to hai
miyāñ 'rahbar' kahāñ tum kho ga.e ho
ho kyuuñ ḳhāmosh jab vo rū-ba-rū hai
dil-e-nadan ko kis ki justuju hai
jo phirta raat din ye ku-ba-ku hai
ilahi bhej de koi muhafiz
paDi KHatre mein meri aabru hai
namaz-e-wasl ko hai muztarib dil
abhi tak aankh meri ba-wazu hai
phire aankhon mein hardam un ka chehra
yahi bimar-e-dil ki aarzu hai
mohabbat ki ye manzil kaun si hai
jidhar dekhun udhar bas tuhi to hai
miyan 'rahbar' kahan tum kho gae ho
ho kyun KHamosh jab wo ru-ba-ru hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.