rahi ye aarzu aaKHir ke dam tak
rahī ye aarzū āḳhir ke dam tak
na pahuñchā sar mirā tere qadam tak
nishāna aur hī manzūr hai aaj
jo tiir us kā nahīñ aatā hai ham tak
falak ke paar huī go aah hāsil
na pahuñchī go banā gosh-e-sanam tak
likhūñ kis tarh jo guzre hai dil par
nahīñ aatā vo mazmūñ qalam tak
pareshāñ bed-e-majnūñ hai nikaltā
magar pahuñchā hai shor-e-dil adam tak
rahi ye aarzu aaKHir ke dam tak
na pahuncha sar mera tere qadam tak
nishana aur hi manzur hai aaj
jo tir us ka nahin aata hai hum tak
falak ke par hui go aah hasil
na pahunchi go bana gosh-e-sanam tak
likhun kis tarh jo guzre hai dil par
nahin aata wo mazmun qalam tak
pareshan bed-e-majnun hai nikalta
magar pahuncha hai shor-e-dil adam tak
- Book : Kulliyat-e-Ruknuddin Ishq aur Unki Hayat aur Shaeri (Pg. 134)
- Author : Quraisha Husain
- Publication : The Azad Press, Patna (1979)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.