rasman hī un ko nāla-e-dil kī ḳhabar to ho
rasman hī un ko nāla-e-dil kī ḳhabar to ho
ya.anī asar na ho to fareb-e-asar to ho
ham bhī tumhārī bazm meñ haiñ dar-ḳhur-e-karam
achchhā vo mustaqil na sahī ik nazar to ho
kyā farz hai ki ham na hoñ taqdīr-āzmā
duniyā paḌī huī hai dar-e-yār par to ho
sab kah rahe haiñ ham pe girāñ hai shab-e-firāq
is kā bhī kuchh ilaaj kareñge sahar to ho
'sīmāb' aadhī raat ko aa.eñ vo be-qarār
terī duā-e-nīm-shabī meñ asar to ho
rasman hī un ko nāla-e-dil kī ḳhabar to ho
yanī asar na ho to fareb-e-asar to ho
hum bhī tumhārī bazm meñ haiñ dar-ḳhur-e-karam
achchhā wo mustaqil na sahī ek nazar to ho
kyā farz hai ki hum na hoñ taqdīr-āzmā
duniyā paḌī huī hai dar-e-yār par to ho
sab kah rahe haiñ hum pe girāñ hai shab-e-firāq
is kā bhī kuchh ilaj kareñge sahar to ho
'sīmāb' aadhī raat ko aaeñ wo be-qarār
terī duā-e-nīm-shabī meñ asar to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.