silsila ishq ka aage baDhta raha
silsila ishq kā aage baḌhtā rahā
ishq maulā meñ ye dil dhaḌaktā rahā
ik sanam hai jo mujh pe bigaḌtā rahā
ik ḳhudā hai jo mujh ko nibhātā rahā
ghup añdhere ko yuuñ vo miTātā rahā
mere dil ko diye-sā jalātā rahā
har ḳhatā merī mujh ko Dubotī rahī
mujh ko us kā karam hī bachātā rahā
mere mahbūb jis rāste se chale
ḳhushbuoñ se vo rasta mahaktā rahā
silsila ishq ka aage baDhta raha
ishq maula mein ye dil dhaDakta raha
ek sanam hai jo mujh pe bigaDta raha
ek KHuda hai jo mujh ko nibhata raha
ghup andhere ko yun wo miTata raha
mere dil ko diye-sa jalata raha
har KHata meri mujh ko Duboti rahi
mujh ko us ka karam hi bachata raha
mere mahbub jis raste se chale
KHushbuon se wo rasta mahakta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.