KHak-sari se mila karata hai rutba kaisa
ḳhāk-sārī se milā karatā hai rutba kaisā
kis kī izzat ko pahuñch jaatā hai surmā kaisā
ham ġhulāmān-e-mohabbat use kyā jāneñ dilā
dair kahte haiñ kise aur hai ka.aba kaisā
jaan ko rog mohabbat kā lagāyā ham ne
haa.e dil de ke ḳharīdā hai ye saudā kaisā
ho jo insān ‘sabīh’ tab hai ḳhatā bhī lāzim
tum ko kī sehat kā hai ye da.avā kaisā
KHak-sari se mila karata hai rutba kaisa
kis ki izzat ko pahunch jata hai surma kaisa
hum ghulaman-e-mohabbat use kya jaanen dila
dair kahte hain kise aur hai kaba kaisa
jaan ko rog mohabbat ka lagaya hum ne
hae dil de ke KHarida hai ye sauda kaisa
ho jo insan ‘sabih’ tab hai KHata bhi lazim
tum ko ki sehat ka hai ye dawa kaisa
- Book : Bihar men Urdu ki Sufiyana Shairi (Pg. 223)
- Author :Mohammad Tayyab Abdali
- Publication : Israr Karimi Press Allahabad (1988)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.