sabhoñ se yuñ to hai dil aap kā ḳhush
sabhoñ se yuuñ to hai dil aap kā ḳhush
agar pūchho to hai ham se hī nā-ḳhush
ḳhushī terī hī hai manzūr ham ko
balā se gar koī nā-ḳhush ho yā ḳhush
ravāq-e-chashm o qasr-e-dil kiyā sair
na kī par aap ne yaañ koī jā ḳhush
jafā kar yā vafā muḳhtār hai tū
mujhe yaksāñ hai kyā nā-ḳhush hai kyā ḳhush
nahīñ us meñ to ġhair-az-jaur lekin
mujhe kyā jaane kyā aa.ī adā ḳhush
kiyā hai garche nā-ḳhush tū ne ham ko
rakhe par ai butāñ tum ko ḳhudā ḳhush
ḳhushī hai sab ko roz-e-īd kī yaañ
hue haiñ mil ke bāham āshnā ḳhush
bhalā kuchh bhī munāsib hai mirī jaañ
ki ho tū aaj ke din mujh se nā-ḳhush
batā aisī koī tadbīr 'bedār'
ki jis se hove merā dilrubā ḳhush
sabhoñ se yuñ to hai dil aap kā ḳhush
agar pūchho to hai hum se hī nā-ḳhush
ḳhushī terī hī hai manzūr hum ko
balā se gar koī nā-ḳhush ho yā ḳhush
rawāq-e-chashm o qasr-e-dil kiyā sair
na kī par aap ne yañ koī jā ḳhush
jafā kar yā wafā muḳhtār hai tū
mujhe yaksāñ hai kyā nā-ḳhush hai kyā ḳhush
nahīñ us meñ to ġhair-az-jaur lekin
mujhe kyā jaane kyā aaī adā ḳhush
kiyā hai garche nā-ḳhush tū ne hum ko
rakhe par ai butāñ tum ko ḳhudā ḳhush
ḳhushī hai sab ko roz-e-īd kī yañ
hue haiñ mil ke bāham āshnā ḳhush
bhalā kuchh bhī munāsib hai mirī jañ
ki ho tū aaj ke din mujh se nā-ḳhush
batā aisī koī tadbīr 'bedār'
ki jis se howe merā dilrubā ḳhush
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.