sar se ranj-o-alam utarti hai
sar se rañj-o-alam utārtī hai
zindagānī vo mujh pe vārtī hai
ham ḳhudā ko hī bhuul jaate haiñ
jab amīrī qadam pasārtī hai
aap ke pā-e-nāz rakhne se
har ḳhushī ghar mirā nihārtī hai
chhoḌ de jiine kī tamannā ab
maut terī tujhe pukārtī hai
baat aisī 'amal meñ paidā kar
dil kī duniyā ko jo sañvārtī hai
zinda rahnā huā hai ab mushkil
be-ruḳhī aap kī yuuñ mārtī hai
duur huuñ apne ghar se maiñ 'nāzāñ'
maañ kī mamtā mujhe pukārtī hai
sar se ranj-o-alam utarti hai
zindagani wo mujh pe warti hai
hum KHuda ko hi bhul jate hain
jab amiri qadam pasarti hai
aap ke pa-e-naz rakhne se
har KHushi ghar mera nihaarti hai
chhoD de jine ki tamanna ab
maut teri tujhe pukarti hai
baat aisi 'amal mein paida kar
dil ki duniya ko jo sanwarti hai
zinda rahna hua hai ab mushkil
be-ruKHi aap ki yun marti hai
dur hun apne ghar se main 'nazan'
man ki mamta mujhe pukarti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.