phir mail junun-e-adm hai mizaj-e-ishq
phir maa.il junūn-e-adm hai mizāj-e-ishq
hastī ko ḳhaak kūcha-e-jānāñ kiye hue
phir baḌh chalā hai hadd-e-ta.ayyun se jazb ishq
fitrat ke har maqām ko uryāñ kiye hue
phir le chalā hai sāhil-e-tahqīq par koī
kashtī ko nazr mauja-e-tūfāñ kiye hue
tartīb de rahā huuñ phir afsāna-e-jamāl
lab haaye zindagī ko pareshāñ kiye hue
phir mail junun-e-adm hai mizaj-e-ishq
hasti ko KHak kucha-e-jaanan kiye hue
phir baDh chala hai hadd-e-tayyun se jazb ishq
fitrat ke har maqam ko uryan kiye hue
phir le chala hai sahil-e-tahqiq par koi
kashti ko nazr mauja-e-tufan kiye hue
tartib de raha hun phir afsana-e-jamal
lab haye zindagi ko pareshan kiye hue
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 38)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.