safā almās o gauhar se fuzūñ hai tere dandāñ kī
safā almās o gauhar se fuzūñ hai tere dandāñ kī
Meer Muhammad Bedar
MORE BYMeer Muhammad Bedar
safā almās o gauhar se fuzūñ hai tere dandāñ kī
kahāñ tujh lab ke aage qadr-o-qīmat la.al-o-marjāñ kī
ajab kī sāhirī us man-haran ke chashm-e-fattāñ ne
diyā kājal siyāhī le ke āñkhoñ se ġhazālāñ kī
tujhe ai lāla-rū vo husn-e-rañgīñ hai ki gul-rūyāñ
abīrī pairahan karte haiñ terī gard-e-dāmāñ kī
abas mal mal ke dhotā hai tū apne dast-e-nāzuk ko
nahīñ jaane kī surḳhī haath se ḳhūn-e-shahīdāñ kī
bahār aa.ī chaman meñ gul khile ai bāġhbāñ shāyad
junūñ ne dhajjiyāñ gar jo uḌā.īñ phir garebāñ kī
qad-e-mauzūñ to shamshād-o-sanobar rakhte haiñ lekin
kahāñ pāveñ laTak kī chaal us sarv-e-ḳhirāmāñ kī
na dekhī aañkh uThā bad-halī-e-āshuftagāñ zālim
banātā hī rahā tū ḳhush-ḳhamī zulf-e-pareshāñ kī
barhana-pā junūñ āvāra kaun is dasht se guzrā
ki rañgīñ ḳhuuñ se hai yaañ nok har ḳhār-e-muġhīlāñ kī
rakho mat chashm-e-ḳhvāb ai dosto 'bedār' se hargiz
koī detī hai sone yaad us rū-e-daraḳhshāñ kī
safā almās o gauhar se fuzūñ hai tere dandāñ kī
kahāñ tujh lab ke aage qadr-o-qīmat lal-o-marjāñ kī
ajab kī sāhirī us man-haran ke chashm-e-fattāñ ne
diyā kājal siyāhī le ke āñkhoñ se ġhazālāñ kī
tujhe ai lāla-rū wo husn-e-rañgīñ hai ki gul-rūyāñ
abīrī pairahan karte haiñ terī gard-e-dāmāñ kī
abas mal mal ke dhotā hai tū apne dast-e-nāzuk ko
nahīñ jaane kī surḳhī hath se ḳhūn-e-shahīdāñ kī
bahār aaī chaman meñ gul khile ai bāġhbāñ shāyad
junūñ ne dhajjiyāñ gar jo uḌāīñ phir garebāñ kī
qad-e-mauzūñ to shamshād-o-sanobar rakhte haiñ lekin
kahāñ pāweñ laTak kī chaal us sarw-e-ḳhirāmāñ kī
na dekhī aañkh uThā bad-halī-e-āshuftagāñ zālim
banātā hī rahā tū ḳhush-ḳhamī zulf-e-pareshāñ kī
barhana-pā junūñ āwāra kaun is dasht se guzrā
ki rañgīñ ḳhuñ se hai yañ nok har ḳhār-e-muġhīlāñ kī
rakho mat chashm-e-ḳhwāb ai dosto 'bedār' se hargiz
koī detī hai sone yaad us rū-e-daraḳhshāñ kī
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.