sahte sahte gham mohabbat ke ye haalat ho gai
sahte sahte ġham mohabbat ke ye hālat ho ga.ī
hañs ke bolā jo koī us se mohabbat ho ga.ī
ḳhush raho duniyā meñ tum ham to isī meñ shaad haiñ
tum se mil kar ro liye halkī tabī.at ho ga.ī
shukr kiije yā shikāyat us nigāh-e-nāz kī
jo ināyat ban ke aa.ī aur qayāmat ho ga.ī
sahte sahte gham mohabbat ke ye haalat ho gai
hans ke bola jo koi us se mohabbat ho gai
KHush raho duniya mein tum hum to isi mein shad hain
tum se mil kar ro liye halki tabiat ho gai
shukr kije ya shikayat us nigah-e-naz ki
jo inayat ban ke aai aur qayamat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.