Sufinama

tilism-e-lab mein kya kuchh hai wo chashm-e-mehrban kya hai

Saima Zaidi

tilism-e-lab mein kya kuchh hai wo chashm-e-mehrban kya hai

Saima Zaidi

MORE BYSaima Zaidi

    tilism-e-lab meñ kyā kuchh hai vo chashm-e-mehrbāñ kyā hai

    abhī se kyā kaheñ zar-e-kHāna-e-dil meñ kahāñ kyā hai

    tumhārī kahkashā.eñ kaun duniyā partav haiñ

    yañh to chāñd hai bādal hai taare haiñ vahāñ kyā hai

    vahāñ bhī kyā sitāre un ke pahlū meñ turshte haiñ

    vahāñ sāz-e-zamāñ kyā hai ram-e-siyārgāñ kyā hai

    abhī vo mai-kada bar-dosh āñkheñ rū-ba-rū hoñgī

    abhī vo hañs ke pūchheñge ki rañg-e-mai-kashāñ kyā hai

    ye kaisī raushnī miTTī tale karvaT badaltī hai

    vo ā.īna to ḳhākī thā ye ’aks-e-jāvedāñ kyā hai

    vahāñ bhī kyā koī hijr-e-abad ābād bastā hai

    yahāñ to pochhiye mat sūrat-e-dard-e-nihāñ kyā hai

    ye sail-e-hijr tham jaa.e zarā to phir khule shāyad

    ki ye rañg-e-judā.ī az-karāñ tā-ba-karāñ kyā hai

    kisī dariyā bāñhoñ ke bulāve ā.gaye varna

    hamāre vāste ye vus.at-e-reg-e-ravāñ kyā hai

    tilism-e-lab mein kya kuchh hai wo chashm-e-mehrban kya hai

    abhi se kya kahen zar-e-kHana-e-dil mein kahan kya hai

    tumhaari kahkashaen kaun si duniya ka partaw hain

    yanh to chand hai baadal hai tare hain wahan kya hai

    wahan bhi kya sitare un ke pahlu mein turshte hain

    wahan saz-e-zaman kya hai ram-e-siyargan kya hai

    abhi wo mai-kada bar-dosh aankhen ru-ba-ru hongi

    abhi wo hans ke puchhenge ki rang-e-mai-kashan kya hai

    ye kaisi raushni miTTi tale karwaT badalti hai

    wo aaina to KHaki tha ye ’aks-e-jawedan kya hai

    wahan bhi kya koi hijr-e-abad aabaad basta hai

    yahan to pochhiye mat surat-e-dard-e-nihan kya hai

    ye sail-e-hijr tham jae zara to phir khule shayad

    ki ye rang-e-judai az-karan ta-ba-karan kya hai

    kisi dariya ki banhon ke bulawe aagaye warna

    hamare waste ye wusat-e-reg-e-rawan kya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now