samajhnā fahm gar kuchh hai tabīī se ilāhī ko
samajhnā fahm gar kuchh hai tabī.ī se ilāhī ko
shahādat ġhaib kī ḳhātir to hāzir hai gavāhī ko
nahīñ mumkin ki ham se zulmat-e-imkān zaa.il ho
chhuḌā de aah koī kyuuñ ke zañgī se siyāhī ko
ajab aalam hai īdhar se hameñ hastī satātī hai
udhar se nestī aatī hai dauḌī uzr-ḳhvāhī ko
na rah jaave kahīñ tū zāhidā mahrūm rahmat se
gunahgāroñ meñ samjhā kariyo apnī be-gunāhī ko
na lāzim nestī us ko na hastī hī zarūrī hai
bayāñ kyā kījiye ai 'dard' mumkin kī tabāhī ko
samajhnā fahm gar kuchh hai tabīī se ilāhī ko
shahādat ġhaib kī ḳhātir to hāzir hai gawāhī ko
nahīñ mumkin ki hum se zulmat-e-imkān zail ho
chhuḌā de aah koī kyuñ ke zañgī se siyāhī ko
ajab aalam hai īdhar se hameñ hastī satātī hai
udhar se nestī aatī hai dauḌī uzr-ḳhwāhī ko
na rah jawe kahīñ tū zāhidā mahrūm rahmat se
gunahgāroñ meñ samjhā kariyo apnī be-gunāhī ko
na lāzim nestī us ko na hastī hī zarūrī hai
bayāñ kyā kījiye ai 'dard' mumkin kī tabahi ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.