Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

sar chashm-e-mani zauq-e-KHayal tera

Irfan Islampuri

sar chashm-e-mani zauq-e-KHayal tera

Irfan Islampuri

sar chashm-e-ma.anī zauq-e-ḳhayāl terā

ma'anī-e-zindgānī shauq-e-visāl terā

dil ḳhūn-kun-azīzāñ shor-e-jalāl terā

majmūa-e-bahārāñ rañg-e-jalāl terā

idrāk se munazzah yā-rab hai zaat terī

kyā kar sake tasavvur fikr-e-ḳhayāl terā

mar kar mile 'irfāñ' tujh ko hayāt-e-tāza

tere zavāl meñ hai pinhāñ kamāl terā

sar chashm-e-mani zauq-e-KHayal tera

ma'ani-e-zindgani shauq-e-visal tera

dil KHun-kun-azizan shor-e-jalal tera

majmua-e-bahaaran rang-e-jalal tera

idrak se munazzah ya-rab hai zat teri

kya kar sake tasawwur fikr-e-KHayal tera

mar kar mile gi 'irfan' tujh ko hayat-e-taza

tere zawal mein hai pinhan kamal tera

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now