uThti thī Tis dil mein dil dard se bhara tha
uThtī thī Tiis dil meñ dil dard se bharā thā
jab ishq jāñ-sitāñ thā jiine kā ik mazā thā
rāh-e-talab meñ lākhoñ pahle rukāvaTeñ thiiñ
himmat baḌhī jo aage do-gām mā-sivā thā
zāhid se roz-e-mahshar kahnā 'shafī'-e-mai-kash
uqbā meñ kyā milegā duniyā meñ kyā milā thā
uThti thī Tis dil mein dil dard se bhara tha
jab ishq jaan-sitan tha jine ka ek maza tha
rah-e-talab mein lakhon pahle rukawaTen thin
himmat baDhi jo aage do-gam ma-siwa tha
zahid se roz-e-mahshar kahna 'shafi'-e-mai-kash
uqba mein kya milega duniya mein kya mila tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.