Sufinama

meri ruh tu hai meri jaan tu hai

Shah Akbar Danapuri

meri ruh tu hai meri jaan tu hai

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    mirī ruuh hai mirī jaan hai

    mare marne jiine sāmān hai

    mirā diin merā īmān hai

    marī jaan jis par hai qurbān to hai

    agar tujh ko jaanā to maiñ ne jaanā

    par ai dost is par bhī anjān hai

    nahīñ'' hai kisī shai mujh ko tamannā

    magar haañ mare dil armān hai

    tirī shaan har rose hai ik nirālī

    nayā jalva hai na.ī shaan hai

    ḳhud ā.īna hai ḳhud ā.īna-bīñ

    tamāsha ye hai aap hairān to hai

    jise DhūñDhtā phir rahā hai to 'akbar'

    mere yaar shakl apnī pahchān hai

    meri ruh tu hai meri jaan tu hai

    mare marne jine ka saman tu hai

    mera din tu mera iman tu hai

    mari jaan jis par hai qurban to hai

    agar tujh ko jaana to main ne hi jaana

    par ai dost is par bhi anjaan tu hai

    nahin hai kisi shai ki mujh ko tamanna

    magar han mare dil ka arman tu hai

    teri shan har rose hai ek nirali

    naya jalwa tu hai nai shan tu hai

    tu KHud aaina hai tu KHud aaina-bin

    tamasha ye hai aap hairan to hai

    jise DhunDhta phir raha hai to 'akbar'

    mere yar shakl apni pahchan tu hai

    Source :
    • Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 136)
    • Author : Sha Akbar Danapuri
    • Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now