aashiq dua kare to yahi ek dua kare
āshiq duā kare to yahī ik duā kare
do dil mileñ to phir na judā hoñ ḳhudā kare
merī tarah tujhe bhī ḳhudā mubtalā kare
merī nigāh terī nazar ho ḳhudā kare
dil ho butoñ ke ishq se ḳhālī ḳhudā kare
vo be-niyāz ab use be-mudda.ā kare
dil jis ko chāhtā ho usī kā gilā kare
ye ishq hai to ham ko na aa.e ḳhudā kare
vo do diloñ ko ek kare yā judā kare
sab us ke haath meñ hai jo chāhe ḳhudā kare
in be-vafā butoñ se tabī.at uchaT ga.ī
ab to ḳhudā se apnī lage lau ḳhudā kare
ham bhī vafā kareñge hai jab tak ki dam meñ dam
vo bhī jafā se baaz na aa.e ḳhudā kare
tū merī shakl meñ ho to maiñ terī shakl meñ
yuuñ merā terā vasl ho ai but ḳhudā kare
āñḳheñ milī hoñ rone hī ke vāste jise
vo apne haal par jo na ro.e to kyā kare
detī nahīñ javāb ye patthar kī mūrateñ
kyā be-zabāñ butoñ se koī iltijā kare
kahte haiñ dekh kar mujhe 'akbar' butān-e-hind
gumrāh hai ye raah par aa.e ḳhudā kare
aashiq dua kare to yahi ek dua kare
do dil milen to phir na juda hon KHuda kare
meri tarah tujhe bhi KHuda mubtala kare
meri nigah teri nazar ho KHuda kare
dil ho buton ke ishq se KHali KHuda kare
wo be-niyaz ab use be-muddaa kare
dil jis ko chahta ho usi ka gila kare
ye ishq hai to hum ko na aae KHuda kare
wo do dilon ko ek kare ya juda kare
sab us ke hath mein hai jo chahe KHuda kare
in be-wafa buton se tabiat uchaT gai
ab to KHuda se apni lage lau KHuda kare
hum bhi wafa karenge hai jab tak ki dam mein dam
wo bhi jafa se baz na aae KHuda kare
tu meri shakl mein ho to main teri shakl mein
yun mera tera wasl ho ai but KHuda kare
aanKHen mili hon rone hi ke waste jise
wo apne haal par jo na roe to kya kare
deti nahin jawab ye patthar ki muraten
kya be-zaban buton se koi iltija kare
kahte hain dekh kar mujhe 'akbar' butan-e-hind
gumrah hai ye rah par aae KHuda kare
- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 195)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.