Khaarzar-e-’ishq se ai shauq niklo tum kahin
Khaarzar-e-’ishq se ai shauq niklo tum kahin
Shah Ameen Ahmad Firdausi
MORE BYShah Ameen Ahmad Firdausi
ḳhārzār-e-’ishq se ai shauq niklo tum kahīñ
gulshan-e-hastī se ho jāoge varna gum kahīñ
hasrat-e-dīdār meñ bahte rahe ai bahr-e-husn
merī āñkhoñ se sadā jehūñ kahīñ qulzum kahīñ
maut se bad-tar samajhte haiñ ham apnī zindagī
ḳhaak aisī zindagī par ham kahīñ aur tum kahīñ
KHarzar-e-’ishq se ai shauq niklo tum kahin
gulshan-e-hasti se ho jaoge warna gum kahin
hasrat-e-didar mein bahte rahe ai bahr-e-husn
meri aankhon se sada jehun kahin qulzum kahin
maut se bad-tar samajhte hain hum apni zindagi
KHak aisi zindagi par hum kahin aur tum kahin
- Book : Urdu Adab ki Tarikh me Nalanda Zila ki khidmat (Pg. 68)
- Author : Dr.Ishrat Aara Sultana
- Publication : Afeef Offset Printers, Delhi-6 (2010)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.