soz-e-gham se tan ze-bas ham-dosh-e-KHakistar raha
soz-e-ġham se tan ze-bas ham-dosh-e-ḳhākistar rahā
us se jo chamkā sharar rū-posh-e-ḳhākistar rahā
sūrat-e-hastī meñ phir dekheñge shakl-e-raftgāñ
ab talak ā.īna ham-āġhosh-e-ḳhākistar rahā
vādī-e-vahshat-asar meñ yaañ ġhubār-e-raftagāñ
gard-bād-āsā sadā bar-dosh-e-ḳhākistar rahā
jal ke parvāna huā jo raakh kā ik Dher raat
ashk-e-chashm-e-sham.a tā-sar-e-gosh-e-ḳhākistar rahā
kisvat-e-ḳhākistarī hai fāḳhta ke bar meñ aah
gulistān-e-dahr meñ kyā josh-e-ḳhākistar rahā
dāman-e-shab hai siyah miltā hai muñh se ḳhāk-e-charḳh
kis ko is mātam-kada meñ hosh-e-ḳhākistar rahā
kyuuñ na ho uftād-gāñ kī qadr yaañ ab ai 'nasīr'
naqsh-e-pā-e-raftagāñ sar-posh-e-ḳhākistar rahā
soz-e-gham se tan ze-bas ham-dosh-e-KHakistar raha
us se jo chamka sharar ru-posh-e-KHakistar raha
surat-e-hasti mein phir dekhenge shakl-e-raftgan
ab talak aaina ham-aghosh-e-KHakistar raha
wadi-e-wahshat-asar mein yan ghubar-e-raftagan
gard-baad-asa sada bar-dosh-e-KHakistar raha
jal ke parwana hua jo rakh ka ek Dher raat
ashk-e-chashm-e-shama ta-sar-e-gosh-e-KHakistar raha
kiswat-e-KHakistari hai faKHta ke bar mein aah
gulistan-e-dahr mein kya josh-e-KHakistar raha
daman-e-shab hai siyah milta hai munh se KHak-e-charKH
kis ko is matam-kada mein hosh-e-KHakistar raha
kyun na ho uftad-gan ki qadr yan ab ai 'nasir'
naqsh-e-pa-e-raftagan sar-posh-e-KHakistar raha
- Book : Kulliyat-e-Shah Naseer Edited: Tanwir Ahmad Alvi (Pg. 255)
- Author : Shah Naseer
- Publication : Majlis-e-Taraqqi Adab, Lahur (1971)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.