chehre se wo naqab jo sarka ke rah gae
chehre se vo naqāb jo sarkā ke rah ga.e
armān merī chashm-e-tamannā ke rah ga.e
mai-ḳhāna-e-ummīd meñ ham jā ke rah ga.e
saaqī ne Daalī aañkh to ġhash khā ke rah ga.e
laa.e na tāb-e-dīd to ġhash khā ke rah ga.e
da.ave tamām hazrat-e-mūsā ke rah ga.e
ham apnī saḳht jaanī se jhuñjhlā ke rah ga.e
gardan jhukā.ī kaT ga.e sharmā ke rah ga.e
āñkheñ milā.īñ kyā ki pilā.e haiñ ḳhum ke ḳhum
ehsān ham pe sāġhar-o-sahbā ke rah ga.e
kahne diyā na hashr meñ kuchh ro’b-e-husn ne
shikve mirī zabān pe aa aa ke rah ga.e
tūlāaniyāñ firāq kī baḌhtī rahīñ yūñhī
phandoñ meñ aake zulf chalīpā ke rah ga.e
vo be-ḳhudī le ga.e jaañ tak nikāl kar
ham mahv dīd-e-'āriz-e-zebā ke rah ga.e
vo nāz-āfrīñ jo tasavvur meñ aa gayā
ham donoñ haath shauq meñ phailā ke rah ga.e
us be-ḳhabar kī aa ke kisī ne ḳhabar na dī
naale agar kiye to vahīñ jā ke rah ga.e
mashq-e-sitam ke vāste baaqī hai dam abhī
ye kyā sitam kiyā ki sitam Dah ke rah ga.e
ThanDā to kar sake na kaleje kī aag ko
tīroñ kā meñh vo siine pe barsā ke rah ga.e
ye the mere nasīb ki mai-ḳhāna khul gayā
aġhyār muntazir dar-e-tauba ke rah ga.e
laayā na ek ko bhī maiñ apne ḳhayāl meñ
jalve mirī nazar meñ bahut aa ke rah ga.e
bas aur kyā kahūñ ki ḳhudā aa gayā nazar
vo barq-e-husn dil pe jo lahrā ke rah ga.e
'qātil' kī intizār meñ guzrī tamām 'umr
armān-e-ḳhūn ho ke tamannā ke rah ga.e
chehre se wo naqab jo sarka ke rah gae
arman meri chashm-e-tamanna ke rah gae
mai-KHana-e-ummid mein hum ja ke rah gae
saqi ne Dali aankh to ghash kha ke rah gae
lae na tab-e-did to ghash kha ke rah gae
dawe tamam hazrat-e-musa ke rah gae
hum apni saKHt jaani se jhunjhla ke rah gae
gardan jhukai kaT gae sharma ke rah gae
aankhen milain kya ki pilae hain KHum ke KHum
ehsan hum pe saghar-o-sahba ke rah gae
kahne diya na hashr mein kuchh ro’b-e-husn ne
shikwe meri zaban pe aa aa ke rah gae
tulaaniyan firaq ki baDhti rahin yunhi
phandon mein aake zulf chalipa ke rah gae
wo be-KHudi le gae jaan tak nikal kar
hum mahw did-e-'ariz-e-zeba ke rah gae
wo naz-afrin jo tasawwur mein aa gaya
hum donon hath shauq mein phaila ke rah gae
us be-KHabar ki aa ke kisi ne KHabar na di
nale agar kiye to wahin ja ke rah gae
mashq-e-sitam ke waste baqi hai dam abhi
ye kya sitam kiya ki sitam Dah ke rah gae
ThanDa to kar sake na kaleje ki aag ko
tiron ka meinh wo sine pe barsa ke rah gae
ye the mere nasib ki mai-KHana khul gaya
aghyar muntazir dar-e-tauba ke rah gae
laya na ek ko bhi main apne KHayal mein
jalwe meri nazar mein bahut aa ke rah gae
bas aur kya kahun ki KHuda aa gaya nazar
wo barq-e-husn dil pe jo lahra ke rah gae
'qatil' ki intizar mein guzri tamam 'umr
arman-e-KHun ho ke tamanna ke rah gae
- Book : Deewan-e-Qatil (Pg. 299)
- Author : Shaah Qatil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.