jalwe to nazar mein sama jaen jalwon mein samana mushkil hai
jalwe to nazar mein sama jaen jalwon mein samana mushkil hai
Qatil Ajmeri
MORE BYQatil Ajmeri
jalve to nazar meñ samā jaa.eñ jalvoñ meñ samānā mushkil hai
tūfān-e-tajallī meñ kho kar phir aap ko paanā mushkil hai
tafsīr baqā kā ye mazmūñ hai rāz-e-kitāb-e-kun-fa-yakūñ
hastī kā safha-e-hastī se har naqsh miTānā mushkil hai
vo jis ke hasīn tabassum se ġhunchoñ meñ tabassum paidā ho
us barq-e-nazar kā gulshan par kyā barq girānā mushkil hai
vo tuur kā jalva thā jis se behosh hue phir hosh aayā
ab sāmnā hai mast āñkhoñ kā ab hosh meñ aanā mushkil hai
sab duniyā ke murdoñ ko zinda kar deñge masīhā mumkin hai
jo terī nazar kā maarā hai haañ us ko jalānā mushkil hai
hai hashr-ḳhirāmī kā sadqa hañgāma-e-mahshar garm huā
hāthoñ se sitam ke māroñ ke dāman kā chhuḌānā mushkil hai
sar denā har ik kā kaam nahīñ ye zauq-e-shahādat 'aam nahīñ
shamshīr ke aage ai 'qātil' gardan kā jhukānā mushkil hai
jalwe to nazar mein sama jaen jalwon mein samana mushkil hai
tufan-e-tajalli mein kho kar phir aap ko pana mushkil hai
tafsir baqa ka ye mazmun hai raaz-e-kitab-e-kun-fa-yakun
hasti ka safha-e-hasti se har naqsh miTana mushkil hai
wo jis ke hasin tabassum se ghunchon mein tabassum paida ho
us barq-e-nazar ka gulshan par kya barq girana mushkil hai
wo tur ka jalwa tha jis se behosh hue phir hosh aaya
ab samna hai mast aankhon ka ab hosh mein aana mushkil hai
sab duniya ke murdon ko zinda kar denge masiha mumkin hai
jo teri nazar ka mara hai han us ko jalana mushkil hai
hai hashr-KHirami ka sadqa hangama-e-mahshar garm hua
hathon se sitam ke maron ke daman ka chhuDana mushkil hai
sar dena har ek ka kaam nahin ye zauq-e-shahadat 'am nahin
shamshir ke aage ai 'qatil' gardan ka jhukana mushkil hai
- Book : Deewan-e-Qatil (Pg. 304)
- Author : Shaah Qatil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.