muddai KHush main hun nalan ya-nasib
mudda.ī ḳhush maiñ huuñ nālāñ yā-nasīb
mujh ko dard auroñ ko darmāñ yā-nasīb
baiThe par be-jagah māne.a jo huuñ
dar javāb us ke ho haañ haañ yā-nasīb
māl-o-jāñ jin ke liye kartā huuñ sarf
us pe huuñ bezār ḳhūbāñ yā-nasīb
jhuuT jitnā tum kaho so ho vo sach
rāstī ko kahiye bohtāñ yā-nasīb
is chaman kī sair meñ ai gul-ezār
'ishq' kī āñkhoñ meñ tūfāñ yā-nasīb
muddai KHush main hun nalan ya-nasib
mujh ko dard auron ko darman ya-nasib
baiThe par be-jagah manea jo hun
dar jawab us ke ho han han ya-nasib
mal-o-jaan jin ke liye karta hun sarf
us pe hun bezar KHuban ya-nasib
jhuT jitna tum kaho so ho wo sach
rasti ko kahiye bohtan ya-nasib
is chaman ki sair mein ai gul-ezar
'ishq' ki aankhon mein tufan ya-nasib
- Book : Kulliyat-e-Ruknuddin Ishq aur Unki Hayat aur Shaeri (Pg. 83)
- Author : Quraisha Husain
- Publication : The Azad Press, Patna (1979)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.