bachchon ko hubb-e-payambar sikhlaiye
bachchoñ ko hubb-e-payambar sikhlā.iye
sher-e-ḳhudā kī sīrat-e-athar sunā.iye
tasvīr-e-bārī ko gharoñ par lagā.iye
is tarah aap yaum-e-december manā.iye
qatl-e-husain asl meñ marg-e-yazīd haiñ
ye naqsh apne lauh par sajā.iye
ta.alīm kī sham.a hī haqīqat meñ hai sham.a
is sha'm-e-be-misāl ko ghar-ghar jalā.iye
shaah 'taqī' ko aap akelā na chhoḌiye
un ko bhī apnā hamdam-o-dilbar banā.iye
bachchon ko hubb-e-payambar sikhlaiye
sher-e-KHuda ki sirat-e-athar sunaiye
taswir-e-bari ko gharon par lagaiye
is tarah aap yaum-e-december manaiye
qatl-e-husain asl mein marg-e-yazid hain
ye naqsh apne lauh par sajaiye
talim ki shama hi haqiqat mein hai shama
is sha'm-e-be-misal ko ghar-ghar jalaiye
shah 'taqi' ko aap akela na chhoDiye
un ko bhi apna hamdam-o-dilbar banaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.