Sufinama

dekhe jo yak-ba-yak gul-ru tumhaari be-hijabi hum

Turab Ali Dakni

dekhe jo yak-ba-yak gul-ru tumhaari be-hijabi hum

Turab Ali Dakni

MORE BYTurab Ali Dakni

    dekhe jo yak-ba-yak gul-rū tumhārī be-hijābī ham

    misāl-e-bulbul-e-shaidā ka.e apnī ḳharābī ham

    abas is dil-kabāboñ na pūchho mai-parastī kuuñ

    hue ho jab suuñ tum saaqī hue tab suuñ sharābī ham

    paḌe haiñ pech-o-tābī meñ ba-hāl-e-ḳhasta sar-gardāñ

    tumhāre sar uupar chīrā jo dekhe haiñ gulābī ham

    abas laon-e-malāhat suuñ jo karte ho namak-pāshī

    kaho kis señ kaheñ kar hamāre dil kabābī ham

    sadā chashm-e-hasūdāñ meñ paḌe ḳhāk-e-nifāq-e-bad

    ki haiñ mash.hūr aalam meñ 'turāb'-e-'bū-turābī' ham

    dekhe jo yak-ba-yak gul-ru tumhaari be-hijabi hum

    misal-e-bulbul-e-shaida kae apnī KHarabi hum

    abas is dil-kababon ki na puchho mai-parasti kun

    hue ho jab sun tum saqi hue tab sun sharabi hum

    paDe hain pech-o-tabi mein ba-haal-e-KHasta sar-gardan

    tumhaare sar upar chira jo dekhe hain gulabi hum

    abas laon-e-malahat sun jo karte ho namak-pashi

    kaho kis sen kahen ja kar hamare dil kababi hum

    sada chashm-e-hasudan mein paDe KHak-e-nifaq-e-bad

    ki hain mashhur aalam mein 'turab'-e-'bu-turabi' hum

    Source :
    • Book : Diwan-e-turab (Pg. 268)
    • Author : Shah Turab Ali Dakani
    • Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Pakistan) (1983)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now