but-kade mein dekh didar-e-butan
but-kade meñ dekh dīdār-e-butāñ
ho rahā hai dil giraftār-e-butāñ
zāhidā de chhoḌ masjid kā ḳhayāl
vasl chahtā hai to ho yār-e-butāñ
zulf-e-kāf-e-kufr kā rakh silsila
baañd gul meñ apne zunnār-e-butāñ
ho ḳharīdār-e-matā-e-kāf-e-kufr
garm hai az bas-ki bāzār-e-butāñ
nāla-e-bulbul huā nāqūs-e-dair
gul kiyā jis vaqt gulzār-e-butāñ
ḳhush sadā aatā hai jaañ anhad kā naad
vaañ bharā hai sirr-e-asrār-e-butāñ
hai but-e-ma.anī husainī ai 'turāb'
kyuuñ na būjhūñ us kuuñ sardār-e-butāñ
but-kade mein dekh didar-e-butan
ho raha hai dil giraftar-e-butan
zahida de chhoD masjid ka KHayal
wasl chahta hai to ho yar-e-butan
zulf-e-kaf-e-kufr ka rakh silsila
band gul mein apne zunnar-e-butan
ho KHaridar-e-mata-e-kaf-e-kufr
garm hai az bas-ki bazar-e-butan
nala-e-bulbul hua naqus-e-dair
gul kiya jis waqt gulzar-e-butan
KHush sada aata hai jaan anhad ka nad
wan bhara hai sirr-e-asrar-e-butan
hai but-e-mani husaini ai 'turab'
kyun na bujhun us kun sardar-e-butan
- Book : Diwan-e-turab (Pg. 309)
- Author : Shah Turab Ali Dakani
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Pakistan) (1983)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.