jise ishq-e-sanam darkar haiga
jise ishq-e-sanam darkār haigā
use rusvā.ī kā kyā aar haigā
na rakhtā kufar hor islām suuñ kaam
jo koī sāhab-e-asrār haigā
anal-haq us kuuñ kahnā kyā ajab hai
huā jo daar kā sardār haigā
ahmad-jāñ naam paayā vaañ azīzāñ
kahāñ islām va kaañ kuffār haigā
hue jo jadd-faroshāñ pīr-e-makkār
so un kā garm to bāzār haigā
o he sāqī-e-bazm-e-ḳhūb-rūyāñ
mai-e-vahdat suuñ jo sarshār haigā
'turāb'-e-āshiq-e-gesū-darāze
asīr-e-rishta-e-zunnār haigā
jise ishq-e-sanam darkar haiga
use ruswai ka kya aar haiga
na rakhta kufar hor islam sun kaam
jo koi sahab-e-asrar haiga
anal-haq us kun kahna kya ajab hai
hua jo dar ka sardar haiga
ahmad-jaan nam paya wan azizan
kahan islam wa kan kuffar haiga
hue jo jadd-faroshan pir-e-makkar
so un ka garm to bazar haiga
o he saqi-e-bazm-e-KHub-ruyan
mai-e-wahdat sun jo sarshaar haiga
'turab'-e-ashiq-e-gesu-daraaze
asir-e-rishta-e-zunnar haiga
- Book : Diwan-e-turab (Pg. 96)
- Author : Shah Turab Ali Dakani
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Pakistan) (1983)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.