aatish-e-ishq-e-sanam son josh-e-mai-KHana hua
ātish-e-ishq-e-sanam soñ josh-e-mai-ḳhāna huā
bulbul-e-gulzār-e-vahdat dekh dīvāna huā
zakariyā mānind jab sar kuuñ diyā aare tale
tār-e-zulf-e-yār señ tab āshnā shāna huā
kyuuñ bhaTaktā nā phire o bulbul-e-shaidā misāl
gul-badan ke naaz kā jo bas ki mastāna huā
soz-e-dil kī kaifiyat kahne meñ kuchh aatī nahīñ
dekh us kī sham.a-rū kuuñ jā ke parvāna huā
baaġh meñ gul-gasht kuuñ jis roz suuñ aayā hai o
murġh-e-dil us roz suuñ mere suuñ begāna huā
jo ki rāh-e-ishq meñ sābit-qadam ho sar diyā
majlis-e-ushshāq meñ mash.hūr mardāna huā
ai 'turāb' jab gul-badan ke dard suuñ giryāñ kiyā
dāman-e-gul par mirā har ashk durdāna huā
aatish-e-ishq-e-sanam son josh-e-mai-KHana hua
bulbul-e-gulzar-e-wahdat dekh diwana hua
zakariya manind jab sar kun diya aare tale
tar-e-zulf-e-yar sen tab aashna shana hua
kyun bhaTakta na phire o bulbul-e-shaida misal
gul-badan ke naz ka jo bas ki mastana hua
soz-e-dil ki kaifiyat kahne mein kuchh aati nahin
dekh us ki shama-ru kun ja ke parwana hua
bagh mein gul-gasht kun jis roz sun aaya hai o
murgh-e-dil us roz sun mere sun begana hua
jo ki rah-e-ishq mein sabit-qadam ho sar diya
majlis-e-ushshaq mein mashhur mardana hua
ai 'turab' jab gul-badan ke dard sun giryan kiya
daman-e-gul par mera har ashk durdana hua
- Book : Diwan-e-turab (Pg. 107)
- Author : Shah Turab Ali Dakani
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Pakistan) (1983)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.