dida-e-bina-o-nabina ke tain raushan kiya
dīda-e-bīnā-o-nābīnā ke ta.iiñ raushan kiyā
yak nigah meñ gulḳhan-e-vīrāñ kuuñ o gulshan kiyā
kyuuñ na hove us kuuñ hāsil tāle-e-askandarī
duur kar zañg-e-kudūrat dil kuuñ jo darpan kiyā
tab huā iz.hār e.ajāz-e-asā-e-mūsavaī
jab o chob-e-nā-tarāshīdā ke ta.iiñ sohan kiyā
ḳhavāhish-e-hubb-ul-vatanī hargiz nahīñ us kuuñ rahā
kūcha-e-dildār meñ jo apnā jā maskan kiyā
misr señ le kar ḳhabar yūsuf kī jo qāsid gayā
dīda-e-yāqūb raushan bū-e-pairāhan kiyā
sar diyā teshe tale o jān-e-shīrīñ señ guzar
koī nahīñ aisā kiyā hai jis qadar kuhkan kiyā
bā.is-e-ījād maujūd-e-izāfī hai 'turāb'
is sabab señ nūr-e-pāk-e-mustafā mautan kiyā
dida-e-bina-o-nabina ke tain raushan kiya
yak nigah mein gulKHan-e-viran kun o gulshan kiya
kyun na howe us kun hasil tale-e-askandari
dur kar zang-e-kudurat dil kun jo darpan kiya
tab hua izhaar eajaz-e-asa-e-musawai
jab o chob-e-na-tarashida ke tain sohan kiya
KHawahish-e-hubb-ul-watani hargiz nahin us kun raha
kucha-e-dildar mein jo apna ja maskan kiya
misr sen le kar KHabar yūsuf ki jo qasid gaya
dida-e-yaqub raushan bu-e-pairahan kiya
sar diya teshe tale o jaan-e-shirin sen guzar
koi nahin aisa kiya hai jis qadar kuhkan kiya
bais-e-ijad maujud-e-izafi hai 'turab'
is sabab sen nur-e-pak-e-mustafa mautan kiya
- Book : Diwan-e-turab (Pg. 118)
- Author : Shah Turab Ali Dakani
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Pakistan) (1983)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.