hasrat-e-wasl-e-yar ne mara
hasrat-e-vasl-e-yār ne maarā
haaye kis intizār ne maarā
lutf-e-shub.hā-e-tār ne maarā
lazzat-e-intizār ne maarā
parde parde meñ yaar ne maarā
mujh ko ik parda-dār ne maarā
khul gayā rāz-e-'ishq ākHir kaar
dīda-e-ashk-bār ne maarā
ho burā aap kī nazākat kā
shauq-e-bos-o-kanār ne maarā
kahte haiñ bazm meñ raqīboñ se
ek shikva-o-guzār ne maarā
hasrat-e-wasl-e-yar ne mara
haye kis intizar ne mara
lutf-e-shubha-e-tar ne mara
lazzat-e-intizar ne mara
parde parde mein yar ne mara
mujh ko ek parda-dar ne mara
khul gaya raaz-e-'ishq aakHir kar
dida-e-ashk-bar ne mara
ho bura aap ki nazakat ka
shauq-e-bos-o-kanar ne mara
kahte hain bazm mein raqibon se
ek shikwa-o-guzar ne mara
- Book : Diwan-e-Shams (Pg. 75)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.