shamshir hai sinan hai kise dun kise na dun
shamshīr hai sināñ hai kise duuñ kise na duuñ
ik jān-e-nā-tavāñ hai kise duuñ kise na duuñ
mehmāñ idhar humā hai udhar hai sag-e-habīb
ik musht-e-ustuḳhvāñ hai kise duuñ kise na duuñ
darbāñ hazār us ke yahāñ ek naqd-e-jāñ
maal is qadar kahāñ hai kise duuñ kise na duuñ
bulbul ko bhī hai phūloñ kī gulchīñ ko bhī talab
hairān bāġhbāñ hai kise duuñ kise na duuñ
sab chāhte haiñ us se jo va.ada visāl kā
kahtā hai ik zabāñ hai kise duuñ kise na duuñ
shahzādī-e-duḳht-e-raz ke hazāroñ haiñ ḳhvāstgār
chup murshid-e-muġhāñ hai kise duuñ kise na duuñ
yāroñ ko bhī hai bose kī ġhairoñ ko bhī talab
shashdar vo jān-e-jāñ hai kise duuñ kise na duuñ
dil mujh se māñgte haiñ hazāroñ hasīñ 'amīr'
kitnā ye armuġhāñ hai kise duuñ kise na duuñ
shamshir hai sinan hai kise dun kise na dun
ek jaan-e-na-tawan hai kise dun kise na dun
mehman idhar huma hai udhar hai sag-e-habib
ek musht-e-ustuKHwan hai kise dun kise na dun
darban hazar us ke yahan ek naqd-e-jaan
mal is qadar kahan hai kise dun kise na dun
bulbul ko bhi hai phulon ki gulchin ko bhi talab
hairan baghban hai kise dun kise na dun
sab chahte hain us se jo wada visal ka
kahta hai ek zaban hai kise dun kise na dun
shahzadi-e-duKHt-e-raz ke hazaron hain KHwastgar
chup murshid-e-mughan hai kise dun kise na dun
yaron ko bhi hai bose ki ghairon ko bhi talab
shashdar wo jaan-e-jaan hai kise dun kise na dun
dil mujh se mangte hain hazaron hasin 'amir'
kitna ye armughan hai kise dun kise na dun
- Book : Diwan-e-Ameer Ma'ruf Ba-Mirat-ul-Ghaib (Pg. 183)
- Author : Ameer Minayee
- Publication : Matba Munshi Nawal Kishor, Lucknow (1922)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.