sozish-e-ishq kī tāsīr badal jaatī hai
munqalib dil ho to tahrīr badal jaatī hai
ahd-e-māzī hī takallum na kiyā jaaye ab
aaj bhī sidaq kī tasvīr badal jaatī hai
raat bhar maiñ rahā ḳhuub bulandī ke qarīb
sub.h meñ ḳhvāb kī ta.abīr badal jaatī hai
mujh pe ilzām purānā hai sazā.eñ bhī vahī
bas mere paañv kī zanjīr badal jaatī hai
gardish-e-vaqt se tum Darnā na hargiz 'shāriq'
jab duāoñ se bhī taqdīr badal jaatī hai
sozish-e-ishq ki tasir badal jati hai
munqalib dil ho to tahrir badal jati hai
ahd-e-mazi hi takallum na kiya jaye ab
aaj bhi sidaq ki taswir badal jati hai
raat bhar main raha KHub bulandi ke qarib
subh mein KHwab ki tabir badal jati hai
mujh pe ilzam purana hai sazaen bhi wahi
bas mere panw ki zanjir badal jati hai
gardish-e-waqt se tum Darna na hargiz 'shaariq'
jab duaon se bhi taqdir badal jati hai
Source :
- Book : Afkar-e-Shariq (Pg. 73)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.