ishq-e-mahbūb meñ dil jab bhī machal jaatā hai
sham.a to sham.a hai parvāna bhī jal jaatā hai
hasrat-e-dīd vafā aur ġham-e-tanhā.ī
yaad aatī hai tirī aañsū nikal jaatā hai
mere jazbāt meñ hai ab bhī tapish jalva-figan
sho.ala uThtā hai samundar bhī ubal jaatā hai
sun le tanqīd mere pyaar pe karne vaale
ishq ke zor se patthar bhī pighal jaatā hai
jin ke jaloñ se munavvar ye jahāñ hai 'shāriq'
un kī yādoñ se mirā dil to bahal jaatā hai
ishq-e-mahbub mein dil jab bhi machal jata hai
shama to shama hai parwana bhi jal jata hai
hasrat-e-did wafa aur gham-e-tanhai
yaad aati hai teri aansu nikal jata hai
mere jazbaat mein hai ab bhi tapish jalwa-figan
shoala uThta hai samundar bhi ubal jata hai
sun le tanqid mere pyar pe karne wale
ishq ke zor se patthar bhi pighal jata hai
jin ke jalon se munawwar ye jahan hai 'shaariq'
un ki yaadon se mera dil to bahal jata hai
Source :
- Book : Afkar-e-Shariq (Pg. 84)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.