Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

sharm kaisi faqat bahana tha

Aughat Shah Warsi

sharm kaisi faqat bahana tha

Aughat Shah Warsi

MORE BYAughat Shah Warsi

    sharm kaisī faqat bahānā thā

    dekh kar mujh ko muñh chhupānā thā

    shaiḳh firdaus jis ko kahtā hai

    vahī apnā ġharīb-ḳhāna thā

    ghar meñ allāh ke ye rahte the

    in butoñ bhī ik zamāna thā

    jagah dar pe shaah vāris ne

    varna 'aughaT' kahāñ Thikānā thā

    sharm kaisi faqat bahana tha

    dekh kar mujh ko munh chhupana tha

    shaiKH firdaus jis ko kahta hai

    wahi apna gharib-KHana tha

    ghar mein allah ke ye rahte the

    in buton ka bhi ek zamana tha

    di jagah dar pe shah waris ne

    warna 'aughaT' kahan Thikana tha

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.III (Pg. 71)
    • Author : Irfan Abbasi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now