tair-e-qudsi haqiqat-ashna
tā.ir-e-qudsī haqīqat-āshnā
lahn-e-dā.ūdī meñ hai naġhma-sarā
saaz ilhāmī hai jis kī har sadā
aur nidā-e-ġhaib hai jis kī nidā
guftugū-e-haq hai jis kī guftugū
jis kā avval hī sabaq hai vahdahū
naġhma-e-jibra.īl hai jis kī sadā
sūr-e-isrāfīl hai jis kī navā
jis ko sun kar rūh-e-insānī tamām
roz-e-avval se hai ab tak shaad kaam
sāhab-e-vajd-o-simā haiñ sar ba-kaf
be-ḳhudī meñ sun ke saut-e-lā-tkHaf
hosh meñ aa.e na phir ahl-e-junūñ
sun ke naġhmāt valā-hum yahzanūn
tair-e-qudsi haqiqat-ashna
lahn-e-daudi mein hai naghma-sara
saz ilhami hai jis ki har sada
aur nida-e-ghaib hai jis ki nida
guftugu-e-haq hai jis ki guftugu
jis ka awwal hi sabaq hai wahdahu
naghma-e-jibrail hai jis ki sada
sur-e-israfil hai jis ki nawa
jis ko sun kar ruh-e-insani tamam
roz-e-awwal se hai ab tak shad kaam
sahab-e-wajd-o-sima hain sar ba-kaf
be-KHudi mein sun ke saut-e-la-tkHaf
hosh mein aae na phir ahl-e-junun
sun ke naghmat wala-hum yahzanun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.