āshiq na agar wafā karegā
āshiq na agar vafā karegā
phir aur kaho to kyā karegā
mat toḌiyo dil sanam kisī kā
allāh tirā bhalā karegā
hai ālam-e-ḳhvāb hāl-e-duniyā
dekhegā jo chashm vā karegā
jiitā na bachegā koī zālim
aisī hī jo tū adā karegā
kal ke to ka.ī paḌe haiñ zaḳhmī
kyā jāniye aaj kyā karegā
aa jā.egā sāmne tū jis ke
dil kyā hai ki jī fidā karegā
kyā jāniye kyā karegā tūfāñ
gar ashk yūñhī bahā karegā
'bedār' ye bait-e-dard ro ro
furqat meñ tirī paḌhā karegā
''apnī āñkhoñ meñ tujh ko dekhūñ
aisā bhī kabhū ḳhudā karegā''
āshiq na agar wafā karegā
phir aur kaho to kyā karegā
mat toḌiyo dil sanam kisī kā
allāh tirā bhalā karegā
hai ālam-e-ḳhwāb hāl-e-duniyā
dekhegā jo chashm wā karegā
jitā na bachegā koī zālim
aisī hī jo tū adā karegā
kal ke to kaī paḌe haiñ zaḳhmī
kyā jāniye aaj kyā karegā
aa jāegā sāmne tū jis ke
dil kyā hai ki jī fidā karegā
kyā jāniye kyā karegā tūfāñ
gar ashk yūñhī bahā karegā
'bedār' ye bait-e-dard ro ro
furqat meñ tirī paḌhā karegā
apnī āñkhoñ meñ tujh ko dekhūñ
aisā bhī kabhū ḳhudā karegā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.