raha karwaTen hi badalta zamana
rahā karvaTeñ hī badaltā zamāna
vahī maiñ vahī dar vahī āstāna
vahī tū vahī shān-e-be-iltifātī
vahī maiñ vahī jazba-e-vālihāna
tire husn kī dilbarī ġhair-fānī
mire 'ishq kī be-kalī jāvedāna
yahī hai jo zauq-e-asīrī to ik din
qafas ko bhī sharmā.egā āshiyāna
zabāñ thak ga.ī dāstāñ kahte-kahte
nigāheñ abhī kah rahī haiñ fasāna
raha karwaTen hi badalta zamana
wahi main wahi dar wahi aastana
wahi tu wahi shan-e-be-iltifati
wahi main wahi jazba-e-walihana
tere husn ki dilbari ghair-fani
mere 'ishq ki be-kali jawedana
yahi hai jo zauq-e-asiri to ek din
qafas ko bhi sharmaega aashiyana
zaban thak gai dastan kahte-kahte
nigahen abhi kah rahi hain fasana
- Book : Kulliyat-e-Sufi Tabassum (Pg. 77)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.