lagana dil kisi na-mehrban se
lagānā dil kisī nā-mehrbāñ se
zamīñ kī dostī hai āsmāñ se
nazar aate the tum to be-zabāñ se
ye bāteñ ā.ga.īñ tum ko kahāñ se
nazar aate haiñ vo kuchh mehrbāñ se
giregī koī bijlī āsmāñ se
ye nañg-e-’ijz hai ik baar rakh kar
uThānā sar kisī ke āstāñ se
visāl-e-jāvedānī chāhtā huuñ
magar vo zindagī lā.ūñ kahāñ se
sunā duuñ dāstān-e-ġham sunā duuñ
agar tū sun sake merī zabāñ se
unheñ bātoñ se jo betāb kar de
ilāhī vo zabāñ lā.ūñ kahāñ se
kareñ kyā un se iz.hār-e-mohabbat
vo sun leñge hamāre rāz-dāñ se
lagana dil kisi na-mehrban se
zamin ki dosti hai aasman se
nazar aate the tum to be-zaban se
ye baaten aagain tum ko kahan se
nazar aate hain wo kuchh mehrban se
giregi koi bijli aasman se
ye nang-e-’ijz hai ek bar rakh kar
uThana sar kisi ke aastan se
visal-e-jawedani chahta hun
magar wo zindagi laun kahan se
suna dun dastan-e-gham suna dun
agar tu sun sake meri zaban se
unhen baaton se jo betab kar de
ilahi wo zaban laun kahan se
karen kya un se izhaar-e-mohabbat
wo sun lenge hamare raaz-dan se
- Book : Kulliyat-e-Sufi Tabassum (Pg. 103)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.