tamannaon ki duniya jagmagai
tamannāoñ kī duniyā jagmagā.ī
ye kis rañgīñ-adā kī yaad aa.ī
nigāh-e-shauq ko rusvā karegī
tirī jalvoñ kī shān-e-ḳhud-numā.ī
vo tūfān-e-havas thā aarzū kā
ki nāmūs-e-mohabbat Dagmagā.ī
mohabbat kī ḳhamoshī bhī fasāna
mohabbat kī fuġhāñ bhī ḳhush-navā.ī
mohabbat kā vo sañg-e-āstāñ hai
laraztī hai jabīn-e-pārsā.ī
hañsī kyā aa.ī un nāzuk laboñ par
'tabassum' ek duniyā muskurā.ī
tamannaon ki duniya jagmagai
ye kis rangin-ada ki yaad aai
nigah-e-shauq ko ruswa karegi
teri jalwon ki shan-e-KHud-numai
wo tufan-e-hawas tha aarzu ka
ki namus-e-mohabbat Dagmagai
mohabbat ki KHamoshi bhi fasana
mohabbat ki fughan bhi KHush-nawai
mohabbat ka wo sang-e-astan hai
larazti hai jabin-e-parsai
hansi kya aai un nazuk labon par
'tabassum' ek duniya muskurai
- Book : Kulliyat-e-Sufi Tabassum (Pg. 122)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.