husn ko jo manzur hua
husn ko jo manzūr huā
'ishq kā vo maqdūr huā
pardoñ meñ 'uryāñ thā husn
jalvoñ meñ mastūr huā
jitne ham nazdīk ga.e
utnā hī vo duur huā
kitnī aaseñ TuuT ga.iiñ
kitnā dil ranjūr huā
muḳhtārī kī shaan milī
kyā insāñ majbūr huā
pal bhar kashtī Thahrī thī
barsoñ sāhil duur huā
haq kī bāteñ samjhe kaun
jo samjhā mansūr huā
aag na thī to patthar thā
aag jalī to tuur huā
mil kar aaj 'tabassum' se
kitnā dil masrūr huā
husn ko jo manzur hua
'ishq ka wo maqdur hua
pardon mein 'uryan tha husn
jalwon mein mastur hua
jitne hum nazdik gae
utna hi wo dur hua
kitni aasen TuT gain
kitna dil ranjur hua
muKHtari ki shan mili
kya insan majbur hua
pal bhar kashti Thahri thi
barson sahil dur hua
haq ki baaten samjhe kaun
jo samjha mansur hua
aag na thi to patthar tha
aag jali to tur hua
mil kar aaj 'tabassum' se
kitna dil masrur hua
- Book : Kulliyat-e-Sufi Tabassum (Pg. 213)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.