Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ye hijr ye lamhe furqat ke is taur hamein taDpaen to

Sufia Deepika Kausar

ye hijr ye lamhe furqat ke is taur hamein taDpaen to

Sufia Deepika Kausar

ye hijr ye lamhe furqat ke is taur hameñ taḌpā.eñ to

is aag meñ jalte jalte ham ai yaar kahīñ jal jaa.eñ to

kaisā hai takalluf mahfil meñ aate bhī nahīñ jaate bhī nahīñ

ham aas lagā.e baiThe haiñ parda vo zarā sarkā.eñ to

ummīd ba-dil rindān-e-talab hāthoñ meñ piyāla thāme haiñ

mai-ḳhāne meñ un ke mar jaa.eñ vo aañkh se mai barsā.eñ to

ḳhāmosh he bulbul gulshan meñ hai bād-e-bahārī bhī sākit

jumbish to kareñ lab un ke zarā ḳhalvat se vo kuchh farmā.eñ to

aksar tasavvur karte haiñ us raat aalam kyā hogā

aahaT na kareñ vo chupke se pahlū meñ mere aa jaa.eñ to

terī badaulat to apnī rātoñ sukūñ barbād huā

aise meñ tujhe ham jazba-e-dil ghabrā ke agar dafnā.eñ to

kis ko hai ḳhabar is duniyā meñ 'kausar' hai kahāñ jannat hai kahāñ

duniyā ke ye rahbar aa ke zarā ye raaz hameñ samjhā.eñ to

ye hijr ye lamhe furqat ke is taur hamein taDpaen to

is aag mein jalte jalte hum ai yar kahin jal jaen to

kaisa hai takalluf mahfil mein aate bhi nahin jate bhi nahin

hum aas lagae baiThe hain parda wo zara sarkaen to

ummid ba-dil rindan-e-talab hathon mein piyala thame hain

mai-KHane mein un ke mar jaen wo aankh se mai barsaen to

KHamosh he bulbul gulshan mein hai baad-e-bahaari bhi sakit

jumbish to karen lab un ke zara KHalwat se wo kuchh farmaen to

aksar hi tasawwur karte hain us raat ka aalam kya hoga

aahaT na karen wo chupke se pahlu mein mere aa jaen to

teri hi badaulat to apni raaton ka sukun barbaad hua

aise mein tujhe hum jazba-e-dil ghabra ke agar dafnaen to

kis ko hai KHabar is duniya mein 'kausar' hai kahan jannat hai kahan

duniya ke ye rahbar aa ke zara ye raaz hamein samjhaen to

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now