hua hai tez magar baadban to hai hi nahin
huā hai tez magar bādbāñ to hai hī nahīñ
sitārā ek bhī manzil-nishāñ to hai hī nahīñ
jabīn-e-shauq jhukā.eñ kahāñ sujūd kareñ
talab kī raah meñ vo āstāñ to hai hī nahīñ
nazar laḌe to kahāñ dil ko leke jaa.eñ kidhar
ḳhirad ke mulk meñ shahr-e-butāñ to hai hī nahīñ
lahū lahū hai qabā kyā huā hai bismil ko
ajiib baat hai ḳhanjar ravāñ to hai hī nahii.
haiñ sab ke sab tere rañg-e-bahār mausam-e-gul
koī bhī mahram bād-e-ḳhizāñ to hai hī nahīñ
makīn-e-zāt kareñ us kī zaat par bāteñ
ajab ye hai ḳhabar lā-makāñ to hai hī nahīñ
nigāh-e-aks meñ gum ho ga.ī magar afsos
ye dil ki vāqif shīsha-garāñ to hai hī nahii.
maiñ hāl-e-zār kahūñ us se kis tarah 'kausar'
mere dahan meñ ek aisī zabāñ to hai hī nahīñ
hua hai tez magar baadban to hai hi nahin
sitara ek bhi manzil-nishan to hai hi nahin
jabin-e-shauq jhukaen kahan sujud karen
talab ki rah mein wo aastan to hai hi nahin
nazar laDe to kahan dil ko leke jaen kidhar
KHirad ke mulk mein shahr-e-butan to hai hi nahin
lahu lahu hai qaba kya hua hai bismil ko
ajib baat hai KHanjar rawan to hai hi nahi
hain sab ke sab tere rang-e-bahaar mausam-e-gul
koī bhi mahram baad-e-KHizan to hai hi nahin
makin-e-zat karen us ki zat par baaten
ajab ye hai KHabar la-makan to hai hi nahin
nigah-e-aks mein gum ho gai magar afsos
ye dil ki waqif shisha-garan to hai hi nahi
main haal-e-zar kahun us se kis tarah 'kausar'
mere dahan mein ek aisi zaban to hai hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.