ho gaya sab KHak muztar ruh-e-parwana rahi
ho gayā sab ḳhaak muztar rūh-e-parvāna rahī
bazm meñ raushan sahar tak jān-e-jānāna rahī
piyās kā zarf aise khul jā.egā kab ma.alūm thā
tishnagī jām-o-subū tak pīr-e-mai-ḳhāna rahī
kī taḳhayyul ne mere paikar tarāshī is qadar
dil sanam-ḳhāna rahā aañkh ā.īna-ḳhāna rahī
kam na thī mīnā-e-hastī meñ mai-e-jalva magar
tishna-kāmī hī hayāt-e-nau kā paimāna rahī
roz avval se abad tak aap yaksāñ rah ga.ī
riñd thī apnī tabī.at yuuñ hī rindāna rahī
tum haqīqat pūchhte ho ishq 'kausar' kī suno
dasht-o-sahrā kī kahānī apnā afsāna rahī
ho gaya sab KHak muztar ruh-e-parwana rahi
bazm mein raushan sahar tak jaan-e-jaanana rahi
piyas ka zarf aise khul jaega kab malum tha
tishnagi jam-o-subu tak pir-e-mai-KHana rahi
ki taKHayyul ne mere paikar tarashi is qadar
dil sanam-KHana raha aankh aaina-KHana rahi
kam na thi mina-e-hasti mein mai-e-jalwa magar
tishna-kaami hi hayat-e-nau ka paimana rahi
roz awwal se abad tak aap yaksan rah gai
rind thi apni tabiat yun hi rindana rahi
tum haqiqat puchhte ho ishq 'kausar' ki suno
dasht-o-sahra ki kahani apna afsana rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.