aaKHri didar ko aae to hain
āḳhrī dīdār ko aa.e to haiñ
dekhne bīmār ko aa.e to haiñ
yaar to ab kuuch kar jaane ko hai
aap milne yaar ko aa.e to haiñ
hasratoñ kī gaThriyāñ sar par dhare
yaad ke bāzār ko aa.e to haiñ
ab na hairat hai na be-zārī na aas
vo magar dīdār ko aa.e to haiñ
phir na.ī bāteñ na.e qaul-o-qarār
phir na.e inkār ko aa.e to haiñ
aaKHri didar ko aae to hain
dekhne bimar ko aae to hain
yar to ab kuch kar jaane ko hai
aap milne yar ko aae to hain
hasraton ki gaThriyan sar par dhare
yaad ke bazar ko aae to hain
ab na hairat hai na be-zari na aas
wo magar didar ko aae to hain
phir nai baaten nae qaul-o-qarar
phir nae inkar ko aae to hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.