na qu’ud mein na sujud mein na ruku’ mein na namaz mein
na qu’ūd meñ na sujūd meñ na rukū’ meñ na namāz meñ
terī bandagī jo adā huī to qiyām-e-juz-o-niyāz meñ
na fanā kī manzil-e-rāz meñ na baqā kī rāh-e-darāz meñ
agar 'ishq terā maqām hai to diloñ ke soz-o-gudāz meñ
mai-be-kHudī ne dikhā diyā jo chhupā thā parda-e-rāz meñ
ki bharī haiñ saarī haqīqateñ faqat ek jām-e-majāz meñ
ye na.ī hai rasm-o-rah-e-razā hai 'ajīb 'ishq kā zābta
usī sar ko tan se kareñ judā jo jhukā ho rāh-e-niyāz meñ
mirā ab to ‘qābil’-e-be-navā ye tarīq-e-'ishq meñ haal hai
kabhī ik qadam hai nasheb meñ kabhī ik qadam hai farāz meñ
na qu’ud mein na sujud mein na ruku’ mein na namaz mein
teri bandagi jo ada hui to qiyam-e-juz-o-niyaz mein
na fana ki manzil-e-raaz mein na baqa ki rah-e-daraaz mein
agar 'ishq tera maqam hai to dilon ke soz-o-gudaz mein
mai-be-kHudi ne dikha diya jo chhupa tha parda-e-raaz mein
ki bhari hain sari haqiqaten faqat ek jam-e-majaz mein
ye nai hai rasm-o-rah-e-raza hai 'ajib 'ishq ka zabta
usi sar ko tan se karen juda jo jhuka ho rah-e-niyaz mein
mera ab to ‘qabil’-e-be-nawa ye tariq-e-'ishq mein haal hai
kabhi ek qadam hai nasheb mein kabhi ek qadam hai faraaz mein
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 240)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.