ifa na agar wada ai yar hua to kya
iifā na agar vā'da ai yaar huā to kyā
iqrār huā to kyā inkār huā to kyā
hai kaam vafā apnā kyā tujh se ġharaz ham ko
tū yaar huā to kyā 'ayyār huā to kyā
jab khel ga.e jī par to jaan ki phir marnā
āsān huā to kyā dushvār huā to kyā
karatā na vafā karatā tū vā'da to kar letā
ye bhī na agar tujh se ai yaar huā to kyā
bande se ḳhudā honā bātil hai to phir banda
majbūr huā to kyā muḳhtār huā to kyā
yāroñ se kaho 'qābil' kyā kaam tumheñ koī
be-kār huā to kyā bā-kār huā to kyā
ifa na agar wa'da ai yar hua to kya
iqrar hua to kya inkar hua to kya
hai kaam wafa apna kya tujh se gharaz hum ko
tu yar hua to kya 'ayyar hua to kya
jab khel gae ji par to jaan ki phir marna
aasan hua to kya dushwar hua to kya
karata na wafa karata tu wa'da to kar leta
ye bhi na agar tujh se ai yar hua to kya
bande se KHuda hona baatil hai to phir banda
majbur hua to kya muKHtar hua to kya
yaron se kaho 'qabil' kya kaam tumhein koi
be-kar hua to kya ba-kar hua to kya
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 241)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.