zamana jo dekha badalta hua
zamāna jo dekhā badaltā huā
to har ham-nashīñ uTh ke chaltā huā
ḳhushāmad karūñ maiñ raqīboñ kī bhī
agar kaam dekhūñ nikaltā huā
mujhe josh-e-mastī meñ bhī hosh thā
girā thā qadam par sambhaltā huā
uThā sūrat-e-dard pahlū se vo
kaleje ko chuTkī se maltā huā
sunā nām-e-'qābil' to hañs kar kahā
are vo ġhazab kā hai chaltā huā
zamana jo dekha badalta hua
to har ham-nashin uTh ke chalta hua
KHushamad karun main raqibon ki bhi
agar kaam dekhun nikalta hua
mujhe josh-e-masti mein bhi hosh tha
gira tha qadam par sambhalta hua
uTha surat-e-dard pahlu se wo
kaleje ko chuTki se malta hua
suna nam-e-'qabil' to hans kar kaha
are wo ghazab ka hai chalta hua
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 242)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.